Home |Bapuji | Satsang| Ashram|
Downloads
Below is our message board. Please feel free to post your queries and replies.
- For personal queries here,write to us at hariomgroup@gmail.com
- If you want to give feedback, please visit Feedback.
Re: Kal sarp and Mangal
Posted by on October 05, 2010 at 22:24:40:In Reply to: Re: Kal sarp and Mangal posted by Aarti on September 26, 2010 at 23:33:13:
Smita,
Hope u have listened to that CD, if not you have to do following for Kaal sarp yog:
1. Roz Hanuman Chalisa ka paath karein.
2. Har somvaar ko shaam ke samay ishaan kond mein mokh karke shivji ka Jap-pujan karein.
3. Mashik Shivraatri par ghar ke darwaaje ke dono taraf pissi haldi (termeric) ka swastik bana den.
For Manglik dosh:
Har mangalvaar ko namak rahit bhojan karein aur is mantra ko jaap karein:
|| Om humm shri mangalaay namah ||
1-2 ya time ho to 5 mala kar len. Yeh upaaye Maanglik doshit ladke bhi kar sakte hain.
Regards,
Aarti
Date: 04-Oct-2010
: Smita,
: Pujya bapu ji ke 25-26 Sep 2010, Bangalore satsang mein Shri Sureshanandji Sai ne 26 Sep 2010 ko kannyaon ko kal surp yog aur maanglik dos nivaaran upaay bataya hai... aap us CD ko lekar sun le.
: Unhone bataya : Roz hanuman chalisa ka paath kare aur somvaar ko ishaan kond mein mokh karke shivji ka pujan karen aur ghar ke darwaaje ke dono taraf pissi haldi (termeric) ka swastik bana den. Kal surp yog mit jayega.
: Mujhe itna yaad hai aap kripya kar CD avashya sun len. Mujhe yaad nahi hai ki pujan har somvaar ko karna hai ya Mashik shivratri par karna hai. (26 Sep 2010)
: :
: : : hari om! mera date of birth 26-Feb-1982 hai bith time 9.00 am hai. mere kundali mai kalsarp aur mangal bataya hai.last 1 year se me 1bhk flat lene ki koshish kar rahi hu. leking due to some problems deal finay nahi hoti aur ek jagah pe builder ne fasaya bhi he aur mere 1 lakh rupees atka hua he.isliye mene apni kundali banai aur ek pandit ko bataya, usne kaha ki mangal aur shani he,aur kal sarp yog bhi he isliye apko ghar aur shadi is dono chizo me problems ayegi. mene bapuji se 26 dec 2007 ko diksha li he. plz mujhe guide kijiye ki iska kya upay karu....hariom
- Re: Kal sarp and Mangal kalyan kachru more 07:05:24 3/12/2011
(0)